Meraj ki shab agayi lyrics



Meraj ki Shab Agayi Kya baat hai kya baat hai 

Rehmat khuda ki chha gayi kya baat hai kya baat hai 


Arsh e Bari ke raste khulte hain kiske waste 

Mehman esa agaya kya baat hai kya baat hai 


Waqt e ziyarat agaya , waqt e imamat agaya

Hazir he saare ambiya عليهم السلام  kya bat hai kya bat hai 


Kehne lage sab marhaba , tashreef laao Mustafa ﷺ 

Aaye Shah e har do sara , kya baat hai kya baat hai 


Dulha bane hain Mustafa ﷺ barati sare ambiya 

Hoor o malak bhi heں fida , kya baat hai kya baat hai 


Hur o malayik saf ba saf , hazir khade hain ba adab 

Deedar e Shah e ambiya , Kya baat hai kya baat hai 


Humko bhi aye rabbul ula ,Deedar unka de kara 

Hum bhi kahe ya Mustafa ﷺ, kya bat hai kya baat hai 


Arz e Nafees e Qadri , Taiba ki Dedo hazri 

Main bhi kahu Aakar waha , kya bat hai kya baat hai 


----+-





 

Comments

Popular posts from this blog

Saj gayi galiyan naat lyrics