Posts

Showing posts from January, 2026

Meraj ki shab agayi lyrics

Meraj ki Shab Agayi Kya baat hai kya baat hai  Rehmat khuda ki chha gayi kya baat hai kya baat hai  Arsh e Bari ke raste khulte hain kiske waste  Mehman esa agaya kya baat hai kya baat hai  Waqt e ziyarat agaya , waqt e imamat agaya Hazir he saare ambiya عليهم السلام  kya bat hai kya bat hai  Kehne lage sab marhaba , tashreef laao Mustafa ﷺ  Aaye Shah e har do sara , kya baat hai kya baat hai  Dulha bane hain Mustafa ﷺ barati sare ambiya  Hoor o malak bhi heں fida , kya baat hai kya baat hai  Hur o malayik saf ba saf , hazir khade hain ba adab  Deedar e Shah e ambiya , Kya baat hai kya baat hai  Humko bhi aye rabbul ula ,Deedar unka de kara  Hum bhi kahe ya Mustafa ﷺ, kya bat hai kya baat hai  Arz e Nafees e Qadri , Taiba ki Dedo hazri  Main bhi kahu Aakar waha , kya bat hai kya baat hai  ----+-