Meraj ki shab agayi lyrics
Meraj ki Shab Agayi Kya baat hai kya baat hai Rehmat khuda ki chha gayi kya baat hai kya baat hai Arsh e Bari ke raste khulte hain kiske waste Mehman esa agaya kya baat hai kya baat hai Waqt e ziyarat agaya , waqt e imamat agaya Hazir he saare ambiya عليهم السلام kya bat hai kya bat hai Kehne lage sab marhaba , tashreef laao Mustafa ﷺ Aaye Shah e har do sara , kya baat hai kya baat hai Dulha bane hain Mustafa ﷺ barati sare ambiya Hoor o malak bhi heں fida , kya baat hai kya baat hai Hur o malayik saf ba saf , hazir khade hain ba adab Deedar e Shah e ambiya , Kya baat hai kya baat hai Humko bhi aye rabbul ula ,Deedar unka de kara Hum bhi kahe ya Mustafa ﷺ, kya bat hai kya baat hai Arz e Nafees e Qadri , Taiba ki Dedo hazri Main bhi kahu Aakar waha , kya bat hai kya baat hai ----+-